Scope and Definition of Network Models
Scope of Network Models Pipeline Design : Agar kisi ko Gulf of Mexico se gas supply karni ho, toh sabse kam kharche wali pipeline banane ka model use kiya jata hai. Gulf of Mexico ek bara samundari hissa hai jo North America ke neeche mojood hai. Yeh America, Mexico aur Cuba ke darmiyan hai. Yeh ek bara pani ka ilaqa hai jo Atlantic Ocean se connected hai. Yahan par bohot zyada tel aur gas mojood hai, is wajah se yeh duniya ki economy ke liye important hai. Is Gulf se America aur Mexico dono apni oil aur gas ki zaroorat poori karte hain. Yeh bohot saari machliyon aur samundari zindagi ka bhi ghar hai. ek bara talab ya dariya jo sirf ek mulk mein nahi, balki alag alag mulkon ko connect karta hai. Shortest Route : Do shehron ke darmiyan sabse chhoti aur behtareen road ka pata lagana. Maximum Flow : Agar Wyoming ke coal mines se Houston tak coal le jana ho, toh sabse zyada coal kis tareeke se bheja ja sakta hai. Wyoming ke coal mines → Wyoming ek jagah hai America (USA) mein,...